February 7, 2012

Hum hai maha thag, ab maut hai ye jaani...

Ek din darwaje par

ek khoobsurat mahila ko dekh

matha thanaka,

poochha kaun ho?

Vo
Boli, main maut hun,

man kiya jor ka thahaka lagaun,
par thoda sakucha kar,
gambheer hokar bola,
chal
hat pagali,
jhoot bolati hai?

Kabhee maut bata kar thhode hi aati hai?

Vo to maha-thagini hai,

bus chupake se aati hai,

aur praan le jati hai.

Vo boli, re moorkh,

mujhe kya kabhee kisi ne dekha hai?

Main to bus Usi ke samane aati hun,
jise le jana ho,

aur ab to tujhe chalana hi hoga,

main khud jo chal kar aayi hun.

Main bolaa.....

Are moorkh to tu hai,
Main to ek kinchan sa bharatiya hun,

jahan sarkaar hai ghooskhoron ki,

khane ko daane nahee hain ghar mein,

fir bhee tax ke 20000 Rs. bharata hun,

apne bachcho aur patni ko bhookha hi sula deta hun

main to pahale se hi mara hua hun,

ab kya mere shav ko le jaane aayi hai?

Bechari maut,
ho gayi nishabd,
kya kahati ab?
Use bhee is baat ka ahasaas ho gaya,
ke shav ko main kaise le jaung?

Ab vo kahaan janati thi,

ke

vo hai maha-thagini,

par, hum bhee kam chalak nahee,

sarkar ke maare huye hain,

fir bhee jaise taise apne aap ko jivit rakkhe hain,

ye kya thagi se kam hai?

Hum hai maha thag,

ab maut hai ye jaani....

No comments:

Post a Comment